Sunday, July 13, 2008

Haquequt...


Har taraf har jagah beshumaar aadmi
Phir bhi tanhaiyon ka shikaar aadmi

Roz jeeta hua roj marta hua
aakhiri saans tak bekarar aadmi
phir bhi tanhayion ka shikaar aadmi

Har taraf bhagte daudte raaste
har taraf aadmi ka shikaar aadmi
phir bhi tanhayion ka shikar aadmi

Subah se shaam tak bojh hota hua
apni hi laash ka khud mazar aadmi
phir bhi tanhayion ka shikar aadmi


No comments: